Monday, 22 August 2011

JANAM STHAN - 1

Prachin Kaal me Punjab stith Siyalkot Shahr Rajput Raja "Shalivahan" ki Rajdhani thi. Raja bada dharmatma or nyayepriye tha, magar uski rani "Ichhrade" se koi bhi Santan nhi thi. Vivash hokar Raja ko dusra vivah "Nyuna de" se kiya. Kintu wo bhi koi bete ko janam na de saki. Raja ne ek yag karwaya or brahman or garibo ko daan diya. Ek saal baad unki badi rani ne ek Rajkumar ko janam diya. Raja ki manokamna puran hone ke karan Rajkumar ka naam "PURAN" rakha gya.
JAI BABA PURANMAL

No comments:

Post a Comment